Rab ne mujhe insaan banaya,
Woh bhi ashraful makhluqat banaya.
Mujhe darja diya na jaane kitno ke upar,
Mujhe ata kiya na jaane kitnon se zyada.
Mujhe ek kaabil insaan banaya.
Namaz-roza uski neāamat hai.
Woh na karun main toh banda kaisa?
Uski di hui cheezon ka shukr ada na kar paunga main kabhi.
Usne nawaza hai mujhe itna,
Mujhe kabhi kami nahi hone di.
Itna nawaz kar bhi kya maanga hai usne?
Woh toh kabhi kisi cheez ka mohtaj nahi.
Ab main bhi itna paakar uska shukr na ada karun,
Toh main uska banda-e-khaas nahi.
Read More:
No Comment! Be the first one.