Maine andheron mein roshni ko janam lete dekha hai,
Tooti hui raaton mein bhi sapnon ko sajte dekha hai.
Maine girtay hue insaan ko phir se sambhalte dekha hai,
Khaali haathon se bhi logo ko taqdeer banate dekha hai.
Zakhmon ke bawajood logo ko muskurate dekha hai,
Roti aankhon ke peeche sapno ko chamakte dekha hai.
Maine maa ke haathon mein dua ka asar dekha hai,
Aur baap ke paseene mein ek nayi subah ka ujala hote dekha hai.
Maine rishton ko bikhar kar phir se judte dekha hai,
Bikhre dilon mein mohabbat ke phool khilte dekha hai.
Zindagi har baar toofan laayegi zarur,
Magar har baar kisi na kisi ko tairte dekha hai zaroor.
Isliye kehna chahta hoon ek baar phir se,
Mujhe meri umeedon ka ujala banna hai.
Maine laakhon ke taqdeer banate dekhna nhi sirf,
Khudko sabit karke zamane ko dikahana hai.
Read More:
No Comment! Be the first one.